Mere khilaf bool ke woh saaf bach gaya
Main ne zabaan holi to tiffan mach gaya..
Umeed ke zaval main shadi ka jashn tha
Mehndi ka raang meri udassi main rach gaya
Rakh li khuda ne mere safeene ki abru
Gerd ab ke hesaar main jaker bhi bach gaya
Halanke thi talash tabassum ke dher ki
Ambaar ansuoon ka Magar mujh ko janch gaya
Lamha ajeeb kerb ka aya hayaat main
Jo mere dil se naqshe mussarat khurach gaya
Shayad woh mojaza tha siyasat ka aye Zafar
Paya urooj jhoot ne Pasti main sach gaya..